IMAM E AZAM lafz ki Mukhtasar Tehqeeq
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh.
Lafz “IMAM AZAM” Kutub e Hadees aur unki Sharah me bhot se logon ke liye istemal kiya gaya hai. Lafz e Imam Azam Khaleefa ke liye kasrat se istemal kiya gaya hai. Jaise Saheeh Ibn e Khuzaima me Imam Khuzaima rahmatullahi alaih ne kuch is tarah baab qayam kiya
بَابُ الرُّخْصَةِ فِي صَلَاةِ الْإِمَامِ الْأَعْظَمِ خَلْفَ مَنْ أَمَّ النَّاسَ مِنْ رَعِيَّتِهِ، وَإِنْ كَانَ الْإِمَامُ مِنَ الرَّعِيَّةِ يَؤُمُّ النَّاسَ بِغَيْرِ إِذَنِ الْإِمَامِ الْأَعْظَمِ قَالَ أَبُو بَكْرٍ: خَبَرُ الْمُغِيرَةِ بْنِ شُعْبَةَ فِي إِمَامَةِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ
Is baab me Ibne Khuzaima rahmatullahi alaih ne ye baat samjhane ki koshish ki hai ke jabIMAM AZAM yani Khaleefatul Muslimeen Imam ke peeche Namaz padh sakta hai aur Imam Riaya ki Imamat baghair IMAM E AZAM ki ijazat ke karsakta hai.
scan:
Jab ap Kutube Hadees aur unki Shuroohaat ka Mutalaa karenge to apko ye lafz bhot si jaghon par milega . khud Bukhari Shareef ki Mashhoor Sharah Fathul Baari jo ke Hafiz Ibne Hajar Asqalani Shafai rahmatullahi alaih ne likhi hai usme Apko Bhot si Jaghon parIMAM AZAM yani Khaleefa e Waqt ke baare me tafseel milegi. Kyu ke ye Lafz IMAMAZAM Khaleefa e waqt ke liye bhot istemal hua hai.
Haan Hame Hadees ki kitabon me aur unki Shuroohaat me ye lafz IMAM AZAM kabhi Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ke liye nahi mila jahan kahin bhi naqis ne padha hai wahan ye lafz Khaleefa ke liye istemal hua hai.
Isse ek baat saabit hui ke ye lafz Khaleefa ke liye istemal kiya jata hai.
Isi tarah ye lafz Deen ki Bhot ziada qidmat kar ke Bhot oonche maqaam par pohanchne ke baad Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ke IMAM AZAM Fiqh ke maidaan me kaha gaya aur ye itna kaseerul istemal hogaya hai ke jab Imam Azam Mutlaq kaha jaye to usse muraad Imam Azam fil fiqh Imam Abu Haneefa Noman Bin Sabit rahmatullahi alaih ko hi liya jata hai.
Kuch arse se baaz wo Bhai jinhe Arbi se koi talluq nahi aur na hi Hadees ko Salaf Saaliheen ke tareeqe par samajhte hain aur na hi Ulama se Raabte me rehte hain wo Is ko Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih se shiddat e Bughz ki bina par is lafz ko Khaatimul Ambiya Imamul Ambiya Rahmatul lil Aalameen Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ki taraf mansoob karte hain aur kuch is tarah ke jahilana sawal karte hain ke Tumhare Imam Azam kaun hai Muhammad sallallahu alaihi wasallam ya Abu Haneefa (rahmatullahi alaih).
Ye sawal aur is jaise ke sawal unki jahalat ki ghammazi karte hain aur unki jahalat me bhot se Aam musalman aa bhi jaate hain. Aur is se Nabi ka taqabul Ummati se kar baithte hain Naoozu Billah Min Zaalik.
Imam Azam chahe Khaleefa ke liye istemal ho ya Imam Abu Haneefa rahmatullahi aliah ke liye ye istemal ek Ummati ke liye hua hai aur sirf is liye ke is Laqab ko Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ke sath badi hi munasibat hogai hai aur un se Bughz me Sarwar e Kaunain Muhammadur Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam se Apka Taqabul karna badi hi jasarat ki baat hai . kahan Imam ul Ambiya aur kahan Imam Abu haneefa.
Yaad rakhne aur samajhne ki baat ye hai ke Taqabul hamesha barabar ki cheezon aur barabar ki shakhsiyaton me hota hai. Nabi Aur Ummati me nahi.
Ab Baat ko samette hue lafz Imam Azam ka Khaleefa ke liye istemal hona Khud Ghair ke muqallideen (naam nihad Ahle Hadees) ke Muhaddis Abdur Rahman Mubarak Poori sahab marhoom ki Tirmizi Shareef ki Sharah TOHFATUL AHWAZI se saabit karta hun. Wo farmate hain
قُلْتُ الْمُرَادُ مِنْ هَذَيْنِ الْحَدِيثَيْنِ وَمَا فِي مَعْنَاهُمَا أَنَّ الْإِمَامَ الْأَعْظَمَ إِذَا اسْتَعْمَلَ الْعَبْدَ الْحَبَشِيَّ عَلَى إِمَارَةِ بَلَدٍ مَثَلًا وَجَبَتْ طَاعَتُهُ وَلَيْسَ فِيهِ أَنَّ الْعَبْدَ الْحَبَشِيَّ يَكُونُ هُوَ الْإِمَامَ الْأَعْظَمَ
(بَاب مَا جَاءَ أَنَّ الْخُلَفَاءَ مِنْ قُرَيْشٍ إِلَى أَنْ تَقُومَ السَّاعَةُ)
Mai kehta hun in 2 Hadeeson ki muraad ye hai aur in dono ke maine ye hai ke IMAM AZAM jab kisi Habshi Ghulam ko kisi Shahar ki Imarat dede to uski Ita’at wajib hoti hai aur isme ye nahi hai ke wo HABSHI GHULAM IMAM AZAM banta ho.
(Tohfatul Ahwazi Jild 6 safha 482)
Yahan Allama Abdur Rahman Mubarak poori waqt ke Khaleefa/Sultan ke liye Lafz eImam Azam ka istemal kar rahe hain. Isi tarah aur bhi bhot si jaghon par Ghair Nabi ke liye ye lafz istemal kiya hai. Hum bus ek hi par iktefa kar rahe hain.
Ab hum chand Muhaddiseen o fuqaha ki kitabon se Imam Abu Haneefa rahmatullahi ke liye Lafz Imam Azam ko sabit karte hain ke Ummat ke Ek Bade Ilmi Tabqe ne Ap rahmatullahi alaih ko IMAM AZAM kaha hai.
1)Ahmad bin Muhammad ne apni kitab Tabqaatul Mufassireen me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(safha 18,287)
Scan:
2)Muhammad Ameen Bin Fazl Muhibbi ne apni kitab Khulaasatul Asr me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha.(1/174,1/424,3/355,4/339,)
3)Shaikh Imam Muhaddis Shams Uddin Abu Ma’aali ne apni Kitab Deewanul Islam me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(2/152)
4)Salah Uddin Khaleel Bin Aibak Safdi ne apni kitab AL WAAFI BIL WAFYAAT me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(13/129,20/132)
Scan:
5)Yusuf Bin Taghra Bardi ne apni kitab ALMANHAL AS SAAFI me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(7/294,7/319,7/381,7/383,5/294,1/225,1/203,1/142,1/87)
Scan:
6)Mohi Uddin Abu Muhammad Abdul Qadar Bin Muhammad ne ALJAWAHIRUL MUZIYYAH me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(49)
Scan:
7)Salah Uddin Khaleel Bin Aibak safdi ne apni kitab A’YAANUL ASR WA A’WAANUN NASR me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .(102)
Scan:
8)Fanne Asmaa o Rijaal ke Imam Allama Zahbi rahmatullahi alaih ne apni kitab TAZKIRATUL HUFFAZ me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha .
Scan:
9)Muhaddise Kabeer Faqeeh e Shafai Ibne Hajar Haithami Makki rahmatullahi aliah ne Kitab hi likhi aur uska naam rakha ALKHAIRAATUL HISAAN FI MANAQIBI ALIMAM ALAZAM ABI HANEEFA NOMAN
Scan:
10) Abdul Hai AlKatani ne apni kitab Fehrisul Fehris me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha.(1/473)
Scan:
Tilka Asharatun kaamila.ye 10 Muhaddiseen/Fuqaha/Muarrikheen ke hawalon par mai iktefa karta hun.
To in se pata chala ke Ahle Ilm ki ek Kaseer tadad hai jo Imam Abu Haneefa rahmatullahi aliah ko IMAM AZAM kehti hai.
Aakhir me Ghair ke Muqallideen (Naam Nihad Ahle Hadees) ke 2 Imamo ke Hawalon se Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kehne ka Saboot dete hue apni baat ko Khatm karta hun
- Ghair ke Muqallideen ke Shaikhul Kul Miya Nazeer Husain Dehlawi ne me Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam Azam kaha.(Miyaar e Haq 29, Fatawa Nazeeriya 2/539)
Scan:
Scan:
Khulasa e Kalaam ye hai ke Imam Azam ka lafz Ghair Nabi ke liye istemal hua hai aur Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ke liye Kasrat se ye lafz istemal kiya gaya hai. Jo log Imam Azam Fil Fiqh Imam Abu Haneefa rahmatullahi alaih ko Imam ul Ambiya Muhammadur Rasoolullah sallallahu aliahi wasallam se milate hain wo Bilkul Ahmaq qism ke log hain jo Nabi ka Taqabul Ummati se kar rahe hain.
Allah Paak Saheeh Fikr o Amal ki Taufeeq ata farmaye.