جماعت اہل حدیث کی گمشدہ سلسلہ سند آخر کا ر مل ہی گئی

زیادہ دیکھی جانے والی

Thursday 23 July 2015

Imam e Azam Abu hanifa Rh. ki Siqaahat,

Imam e Azam Abu hanifa Rh. ki Siqaahat, Sadaaqat wa Adaalat par Ek Imli Nazar.

Sultan ul Muhaddiseen, Sayyidul Fuqaaha Hazrat Al Hafiz ul Muhaddis ul Faqi al Imam al Azam Abu hanifa Noma’an bin Saabit Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. Siqa hi Nahi, Balke Aala Darje ke Siqa Muhaddis, Faqi aur Ilm e Hadees ke Maahir hai.
Aap ki Adaalat,Sadaaqat wa Siqaahat par Huffaaz wa Ulama ke Irshaadaat Darj e zail hai :
1 – Qaasim Bin Ma’an Rh. Al Mutawaffa 175 Hij. Farmaate Hai Ke Log Kisi Ke Paas Nahi Jiski Majlis Imam Abu Hanifa Rh. Zyaada Faide-Mand Ho.
2 – Hujr Bin Abdul Jabbar Rh. Farmaate Hai Ke Mai Ne Imam Abu Hanifa Rh. Ke Jaisa Nahi Dekha.
3 – Imam Sulaiman (Bin Mehraan) Rh. Al Mutawaffa 148 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Muttaqi Aur Sakhi The.
4 – Hazrat Yazeed Bin Haroon Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Imam Sufiyan Sauri Rh. Se Bade Faqi Hai.
5 – Imam Abdullah Bin Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Farmaate Hai Ke Logo Me Sabse Bade Faqi Abu Hanifa Rh. Hai Aur Maine Fiqh Me Unki Tarah Kisi Ko Nahi Dekha.
6 – Imam Maalik Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Farmaate hai ke Maine Ek Shaks ko Dekha, Agar wo Tumse Is Sutoon [Pillar] ke bare me Dawa kare ke Soone ka hai, Toh use Daleel se Saabit Kardenge.
(Tehzeeb ul Kamaal : Jild 29 : Safa 428-430)
Scan Page :
tkar29_Page430
6 – Imam Sufiyan Sauri Rh. Al Mutawaffa 161 Hij. Imam Abu Hanifa Rh. Ke Bare Me Farmaate Hai Ke Ahle Zameen Me Sabse Deen Ki Samajh Rakhne Waale Imam Abu Hanifa Rh. Hai.
7 – Imam Abdullah Bin Dawud Al Khuraibi Rh. Al Mutawaffa 213 Hij. Farmaate Hai Ke Ahle Islaam Ko Chahiye Ke Allah Se Imam Abu Hanifa Rh. Ke Liye Dua Kare (Kyunke) Unhone Sunnat Aur Fiqha Ki Hifaazat Ki.
8 – Shadaad Bin Hakeem Rh. Farmaate Hai Ke Maine Imam Abu Hanifa Rh. Se Bada Aalim Koi Nahi Dekha.
9 – Imam Makki Bin Ibrahim Rh. Al Mutawaffa 215 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Apne Zamaane Ke Sabse Bade Aalim The.
10 – Imam Ul Jarah Wa Ta’adeel Imam Yahiya Bin Saeed Al Qattan Rh. Al Mutawaffa 198 Hij. Farmaate Hai Ke Hum Ne Imam Abu Hanifa Rh. Se Behtar Kisi Ki Raaye Suni Hi Nahi.
11 – Imam Shafa’ii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate Hai Ke Log Fiqh Me Imam Abu Hanifa Rh. Ki Aulaad Hai.
(Tehzeeb ul kamaal : Jild 29 : Safa 431-433)
Scan Page :
tkar29_Page433
12 – Imam Makki Bin Ibrahim Rh. Al Mutawaffa 215 Hij. Ke Maine Kufa Me Sabse Parhesgaar Imam Abu Hanifa Rh. Ko Dekha Hai.
13 – Imam Abdullah Ibn Ul Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Farmaate Hai Ke Maine Imam Abu Hanifa Rh. Se Zyaada Parhesgaar Kisi Ko Nahi Dekha.
14 – Hazrat Yazeed Bin Haroon Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. Farmaate Hai Ke Logo Me Imam Abu Hanifa Rh. Se Zyaada Aqalmand, Afzal Aur Parhesgaar Kisi Ko Nahi Dekha.
(Tehzeeb ul kamaal : Jild 29 : Safa 436,437, 439)
Scan Page :
tkar29_Page439
15 – Imam Shobata Ibn Ul Hajjaaj Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Imam Abu Hanifa Rh. Ke Bare Me Achi Raaye Rakhte The.
16 – Imam Yahiya Bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate Hai Ke Wo Siqa hai, Siqa Hai Aur Maine Kisi Ko Unko Zaeef Kehte Huwe Nahi Suna.
Aur Ibn Maeen Rh. Kehte Hai Ke
17 – Imam Shoba Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Ne Imam Abu Hanifa Rh. Ko Qat Likha Hai Ke Aap Mujhse Hadeese Bayaan Kare Aur Shoba Shoba Rh. Hai.
Note :
Ghair Muqallideen ke Nazdeek, Imam Shoba Rh. Sirf Siqa se hi riwayat Karte hai.(Namaz me Haat Bandhne ka Hukum aur Maqaam : Safa 44)
Scan Page :
Seene pe hath bandhna Zubair Ali Zai_Page43
Is Lehaaz se bhi Imam Abu Hanifa Rh. Imam Shoba Rh. ke Nazdeek SIQA Saabit Huwe.
18 – Imam Hasan Bin Saleeh Rh. Al Mutawaffa 168 Hij. Farmaate Hai Ke Wo Samjh Waale Aalim The Aur Ilm Me Mazboot The.Aur Jab Unke Nazdeek Koi Hadees Saheeh Saabit Hojaati, Toh Uske Alaawa Kisi Aur Baat Ki Taraf Nahi Laut-te.
19 – Ismaail Bin Dawud Rh. Farmaate Hai Ke Imam Abdullah Bin Mubarak Rh. Imam Abu Hanifa Rh. Ki Taraf Bayaan Karte the, Unki Taqwa aur Unki Ta’arif Bayaan karte the.
Aur Imam Mughtaayi Rh. Al Mutawaffa 764 Hij. Farmaate hai ke
Aur Unki [Imam Abu hanifa Rh. Ki] Ta’arif aur Unke Taqwe ko Muta’akhireen ki Ek Badi Jamaat ne Bayaan kiya hai ,Unme
Hammaani Rh.
Ma’amar bin Raashid Rh.
Israael bin Qais Rh.
Yahiya bin Aadam Rh.
Kharija bin Mus’ab Rh.
Hasan bin Amaara Rh.
Abu Nuaim Al Fazl bin dukain Rh.
Al Hakam bin Hishaam Rh,
Yazeed bin Zure Rh.
Zakarriya bin Abi Zayeda Rh.
Maalik bin Mughawwal Rh.
Abu Khalid al Ahmar Rh.
Khalaf bin Ayub Rh.
Sufiyan Ibn Oyena Rh.
Abubakr Ibn Ayaash Rh.
Qaasim bin Ma’an As Masoodi Rh.
Abdul Malik bin Juraij Rh.
Imam Auzaayi Rh.
Hammad bin Abi Sulaimaan Rh.
Fuzail bin Ayaaz Rh.
Ayub bin Abi Tameemah Rh.
Sulaimaan bin Mehraan Al A’mash Rh.
Sufiyan bin Saeed As Sauri Rh.
Abu Muti’ Al Hakam bin Abdullah Rh.
Abu Aasim An-Nabeel rh.
Yazeed bin Haroon rh.
Khalid at- Tah-haan Rh.
Abdullah bin Dawud Al Khuraibi Rh.
Abdullah bin Yazeed al Muqri Rh.
Makki bin Ibrahim Rh.
Yahiya bin Saeed al Qattan Rh.
Al Hakam bin Hishaam As-Saqafi Rh.
Al Hasan bin Muhammed Al Laisi Rh. Wagaira Hazraat hai.
20 – Imam Abu Ahmed Bin A’adi Rh. Al Mutawaffa 365 Hij. Farmaate Hai Ke Unki Hadeese Durust Hai.
21 – Imam Haakim Rh. Al Mutawaffa 405 Hij. aur
22 – Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 385 Hij. ne Unki Tauseeq Ki Hai.
(Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 12 : Safa 56-57)
Scan Page :
ekmalt12_Page57
23 – Hakam Bin Hishaam Rh. Farmaate Hai Ke Amaanat Me Logo Me Azeemtareen Insaan Imam Abu Hanifa Rh. The.
24 – Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Aalim, Faqi Aur Imam Hammad Rh. Ke Mu-azzaz Shaagirdo Me The.
25 – Imam Sulaiman Bin Mehraan Rh. Al Mutawaffa 148 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Taqwe Waale, Hikmat Waale, Sakhi The.
26 – Hazrat Abu Yaqoob Rh. Farmaate Hai Ke Wo Taqwe, Fiqh Aur Behtirin Nazar Waale The.
(Ikmaal Tehzeeb ul Kamaal : Jild 12 : Safa 58-59)
Scan Page :
ekmalt12_Page59
27 – Imam Abdullah Ibn ul Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Farmaate Hai Ke Abu Hanifa Rh. Logo Me Sabse Bade Faqi The.
28 – Imam Yahiya bin Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate Hai Ke Unme Koi Kharaabi Nahi Hai Aur Na Hi Unke Upar Jhoot Ki Tohmat Lagaayi Gayi.
29 – Imam Abu Dawud Rh. Al Mutawaffa 275 Hij. Farmaate Hai Ke Allah Abu Hanifa Rh. Par Rahem Kare, Wo Imam The.
(Taarekh ul Islaam : Jild 3 : Safa 990-991)
Scan Page :
03_Page991
30 – Hazrat Abdur Rehman Bin Muhammed Bin Mughera Rh. Farmaate Hai Ke Abu Hanifa Rh. Aalim, Jo Kufe Ki Masjid Me Logo Ko Fatwe Dete The.
31 – Hazrat Qais Ibn ur Rabii Rh. Al Mutawaffa 100 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Muttaqi, Paresgaar Aur Logo Me Unko Fazilat Thi.
(Taarekh ul Islaam : Jild 3 : Safa 992-993)
Scan Page :
03_Page993
32 – Hazrat Abu Muawiya Rh. Al Mutawaffa 295 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Se Muhabbat Sunnat Me [se] Hai, Aur [wo] Un Ulama Me Se Jinko Allah Ke Liye Aazmaaya Gaya.
33 – Hazrat Hibban Bin Musa Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abdullah Ibn ul Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Se Pucha Gaya Ke Imam Maalik Rh. Badi Faqi The Ya Imam Abu Hanifa Rh. ? Toh Abdullah Bin Mubarak Rh. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh.
34 – Imam Ali Bin Aasim Rh. Al Mutawaffa 201 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Ka Ilm Unke Zamaane Ke Logo Ke Ilm Saat Tola Jaaye, Toh Yaqinan Imam Abu Hanifa Rh. Ka Palrda Bhaari Rahega.
35 – Imam Abdullah Bin Dawud Al Khuraibi Rh. Al Mutawaffa 213 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Se Sirf 2 Log Hi Bughz Rakhte Hai.
i – Jaahil (Yaani Unke Maqaam Nahi Jaanta)
ii – Haasid (Yaani Hasad Ki Wajeh Unse Bughz Rakhta Hai)
36 – Imam Hafz Bin Ghiyaaz Rh. Al Mutawaffa 195 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Ke Kalaam Ko Jaahil Hi Aaib Lagaasakta Hai.
37 – Imam Sufiyan Ibn Oyena Rh. Al Mutawaffa 198 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. ki Fiqa Kufa ke Khazaane se Qeemti hai aur Wo Dunya ke Koone Koone me Pahunch gayi hai.
(Taarekh ul Islaam : Jild 3 : Safa 994-995)
Scan Page :
03_Page994
38 – Imam Ali Bin Aasim Rh. Al Mutawaffa 201 Hij. Farmaate Hai Ke Agar Imam Abu Hanifa Rh. Ki Aqal Ko (Dunya Ke) Aandhe Logo Se Tula Jaayem, Toh Yaqinan Unka Aqal Bhaari Hogi.
39 – Hazrat Mughera Rh. Al Mutawaffa 136 Hij. Farmaate Hai Ke Tum Imam Abu Hanifa Rh. Ki Majlis Me Baitho, (Toh Tum) Deen Me Samajh Haasil Karloge, Agar Ibrahim Nakh’ii Rh. Zinda Hote Toh Wo Bhi Unki Majlis Me Bait-te The.
40 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Farmaate Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Ki Manaaqib Itne Zyaada Hai, Ke Mai Unko Is Kitaab Me Zikr Nahi Karsakta.
(Taarekh ul Islaam : Jild 3 : Safa 996)
Scan Page :
03_Page996
41 – Imam Sufiyan bin Oyena Rh. Al Mutawaffa 198 Hij. Farmaate hai ke Mere Aankho ne Imam Abu hanifa Rh. Jaisa aur Shaks nahi Dekha.
42 – Abu Yahiya Hamaani Rh. Al Mutawaffa 202 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Abu hanifa Rh. se Behtar Aadmi Nahi dekha.
43 – Hazrat Juraij Rh. Al Mutawaffa 150 Hij. ke paas Jab Imam Abu hanifa Rh. ke Inteqaal ki Khabar Aayi, Toh Unhe Bada Sadma huwa aur Inna Lillahi….padha aur Kaha ke Ilm uth gaya [hai].
(Taarekh e Baghdaad : Jild 13 : Safa 336-338)
Scan Page :
13_77933_Page338
44 – Imam Israael Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Farmaate hai ke Imam Abu hanifa Rh. Ache aadmi the.
45 – Hazrat Mis’ar Rh. Al Mutawaffa 155 Hij. Farmaate the : Jisne Apne aur Allah tala ke Darmiyaan Imam Abu hanifa Rh. ko Rakhliya, Toh Mera Gumaan hai ke wo be-khauf hogaya aur Apne Nafs ki puri Ahtehaat Karli.
46 –Imam Ma’amar Rh. Al Mutawaffa 154 Hij. Farmaate hai ke Fiqh ki Umdagi aur qiyaas ki Wus’at e Nazri aur uski Tashreeh me Mai nahi Jaanta ke koi shaks Imam Sahaab se zyaada Ma’arifat waala ho.
47 – Jafer Ar-raazi Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Abu hanifa Rh. se Zyaada Paresgaar aur Bada Faqi Kisi ko Nahi Dekha.
48 – Fuzail bin Ayaaz Rh. Al Mutawaffa 187 Hij. Kehte hai ke Imam Abu hanifa Rh. Mashoor Faqi, Parhesgaar, Maaldaar, Mehmaan Nawaaz, Raat Din Mashaagil e Ilm me Munhamik [Masroof], Masaail e Halaal wa Haraam ko Haqqaniyat aur Daleel ke saat Bayaan karne waale aur Hukumat ke Maal se Bhaagne waale the.
49 – Imam Abu yusuf Rh. Al Mutawaffa 182 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Sahaab Rh. se Zyaada Shaarih e Hadees aur Fiqa ka Aalim Kisi ko Nahi dekha.
50 – Balke Imam Abu yusuf Rh. Yaha Tak Farmaate hai ke Maine Apne Maa baap se Pehle Imam Abu hanifa Rh. ke Liye dua Karta hu.
51 – Imam A’mash Rh. Al Mutawaffa 148 Hij. ne Farmaaya ke Imam Abu hanifa Rh. Bade Shaks hai.
52 – Imam Hammad bin Zaid Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Farmaate hai ke Maine Hajj ka Iraada kiya Toh
53 – Imam Ayyub Rh. Al Mutawaffa 131 Hij. se Milne ke liye Gaya, [Toh] Unhone Kaha ke Maine Suna hai ke Ahle Kufa ke Faqi, Saleeh Imam Abu hanifa Rh. Is Saal Hajj Jaane waale hai, Agar Unse Mulaaqaat ho toh Unhe Meri Jaanib se Zaroor Salaam Pahuncha Dena.
54 – Israael Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Farmaate hai ke Imam Sahaab Rh. Fiqa ke Mutalliq Hadeese aur Unke Ghaur wa Khauz [Ghaur-o-Fikr] aur Unki Fiqhi Nukaat [Fiqhi Nuqte] ke Ilm me Bade Maahir the, [aur] Hazrat Hammad Rh. se Khoob Achi Tarah Ilm Haasil kiya tha.
55 – Imam Ma’amar Rh. Al Mutawaffa 154 Hij. Farmaate hai ke Meri Nigaaho me Deen ki Baato me Shak wa Shuba Daalne se Apne Nafs ko Bachaane me Imam Sahaab se Zyaada Darne waala Koi Nahi hai.
56 – Hakam bin Abdullah Rh. Kehte hai ke Imam Abu hanifa Rh. Imam Sufiyan Sauri Rh. se Bade Faqi the.
(Taarekh e Baghdad : Jild 13 : Safa 339-341)
Scan Page :
13_77933_Page341
57 – Hazrat Yazeed bin Haroon Rh. Al Mutawaffa 206 Hij. se Kisi ne Sawaal kiya : ke Aye Khaalid Aap ne Sabse Bada Faqi kise Paaya hai, Kaha ke Imam Abu hanifa Rh. ko.
58 – Hasan Rh. Kehte hai ke Maine Imam Abu Aasim An-Nabeel Rh. Al Mutawaffa 212 Hij. se Pucha ke Imam Abu hanifa Rh. Bade Faqi hai ya Sufiyan Sauri Rh. ?
Toh Unhone Kaha ke : Imam Abu hanifa Rh. ka Ghulaam bhi Sufiyan Sauri Rh. se Bada Faqi hai.
59 – Hazrat Abu Muslim al Mustamli Rh. Al Mutawaffa 224 Hij. se Yeh Marwi hai, ke Unhone Farmaaya ke Maine Fuqaaha me Imam Sahaab Rh. Jaisa kisi ko Nahi Paaya.
60 – Abdullah bin Mubarak Rh. Al Mutawaffa 181 Hij. Farmaate hai ke Agar Kisi Hadees se Qiyaas ki Zarurat Pade, Toh Uske Ahel Imam Maalik Rh., Imam Sufiyan Sauri Rh. aur Imam Abu hanifa Rh. hai, aur Unme bhi Ache, Baarik bee [Baarik Cheezo me Ghaur Karne Waale] Aur Dur Bee [Dur ki Cheezo me Ghaur Karne Waale] Faqi Imam Abu hanifa Rh. hai.
61 – Imam Abu Aasim an Nabeel Rh. Al Mutawaffa 212 Hij. se Pucha gaya ke Sufiyan Sauri Rh. aur Imam Abu hanifa Rh. me Bada Faqi kaun hai ?
Toh Unhone Farmaaya : Sahi Qiyaas Karne waale aur Kaamil Faqaahat Waale Imam Abu hanifa Rh. hai.
62 – Imam Ibn Dawud Rh. Farmaate hai ke Hadees wa Aasaar aur Zohod wa Parhesgaari ka Iraada ho, Toh Hazrat Sufiyan Sauri Rh. ko Dekho aur Un Daqaa-iq wa Aasaar [Yaani Aasaar wagaira ki Gehraayi] ka Shauq ho, Toh Hazrat Imam Abu hanifa Rh. ko Dekho.
63 – Hazrat Khaalid Tah-haan Rh. [Bawa-jood Ahle Ilm Hone ke….] Kehte hai : ke Aye Kaash Imam Abu hanifa Rh. ka Ilm Mere aur Tere Darmiyaan hota.
64 – Abu Nuaim Rh. Al Mutawaffa 218 Hij. Farmaate hai ke Imam Sahaab Rh. Masaail me Gehre Utarne Waale the.
65 – Yazeed Al Muqri Rh. Farmaate hai ke Maine Imam Sahaab Rh. se Badi Faqi Kisi ko Nahi Dekha.
(Taarekh e Baghdad : Jild 13 : Safa 342-344)
Scan Page :
13_77933_Page344
66 – Wakii Ibn ul Jarraah Rh. Al Mutawaffa 197 Hij. Farmaate hai ke Imam abu hanifa Rh. se Zyaada Fiqh Jaanne Waala aur Aap se Zyaada Achi Namaz Padhne waala Meri Nigaah se Toh Koi Nahi Guzra.
67 – Imam Shaf’ii Rh. Al Mutawaffa 204 Hij. Farmaate hai ke Mai Nahi Jaanta ke koi Shaks Imam Abu hanifa Rh. se Bada Fiqa ho.
68 – Qazi Hasan bin Usmaan Rh. Farmaate hai ke Maine Iraaq aur Hijaaz me 3 Ilm Paaye.
i – Imam Abu Hanifa Rh. ka Ilm.
ii – Kalbi ki Tafseer.
iii – Muhammed bin Ishaq ki Maghaazi.
69 – Imam Yahiya bin Maeen Rh. Farmaate hai ke Maine Logo ko Isi baat par Paaya aur Mere Nazdeek bhi Yahi baat hai [ke] Qirat me Toh Hamza aur Fiqh me Imam abu hanifa Rh. hai.
70 – Ibrahim bin Ikramah Rh. Farmaate hai ke Maine Na Zohod me Kisi ko Imam Abu hanifa Rh. se Zyaada paaya, na Fiqh me.
(Taarekh e Baghdad : Jild 13 : Safa 345-347)
Scan Page :
13_77933_Page347
71 – Hasan bin Muhammed Laisi Rh. Farmaate hai ke Maine Kufa me Aakar Pucha ke Sabse Ibaadat Guzaar aur Sabse Faqi Kaun hai.
Toh Imam Abu hanifa Rh. ki Taraf Ishaara huwa.
(Taarekh e Baghdad : Jild 13 : Safa 351)
Scan Page :
13_77933_Page351
72 – Imam Muhammed bin Sireen Rh. Al Mutawaffa 110 Hij. Farmaate hai ke Yeh Shaks [Imam Abu hanifa Rh.] Uloom e Nabuwwat ko Phailaayega.
(Manaaqib e Abi Hanifa As-haabi Liz Zehbi : Safa 36)
Scan Page :
manaqib abu hanifa by imam zahabi_Page36
73 – Imam A’mash Rh. Al Mutawaffa 147 Hij. [Bawajood Imam, Muhaddis aur Hafiz Hone ke] Imam Abu hanifa Rh. se Masaail Daryaaft Farmaate the.
Aur Aap ki Tehseen Farmaate the, Ek Baarik se Masla Daryaaft kiya gaya, Toh Imam A’mash Rh. Farmaate hai ke ‘Is [Baarik Masle] ka SAHEEH Jawaab Imam Abu hanifa Rh. hi de sakte hai.
Mera Qiyaal hai ke Unke Ilm me Barkat degayi hai.
Jareer Rh. Kehte hai ke Imam A’mash Rh. se Masaail puche Jaate, Toh Hazrat Imam Abu hanifa Rh. ke paas Bhejte.
74 – Imam Ali bin Saaleh Rh. Al Mutawaffa 151 Hij. ne Imam Abu hanifa Rh. ko Iraaq ka Mufti aur Faqi Qaraar diya hai.
75 – Imam Mis’ar bin Kidaam Rh. Al Mutawaffa 153 Hij. Farmaate hai ke Allah tala Imam Abu hanifa Rh. par Rehmat Farmaaye, wo Bade Faqi Aalim the.
(Manaaqib e Abi Hanifa As-haabi Liz Zehbi : Safa 29)
Scan Page :
manaqib abu hanifa by imam zahabi_Page29 - Copy
76 – Imam Mis’ar bin Kidaam Rh. Al Mutawaffa 153 Hij. yeh bhi Farmaate hai ke Humne Imam Abu hanifa Rh. ke saat Ilm e Hadees Haasil Karna Shuru kiya, Toh wo (Imam Abu hanifa Rh.) Humpar Ghaalib aagaye, Hum Zohd me Mashghool huwe, Toh [wo] Humse Aage Nikal gaye.
Humne Unki Saat Ilm e Fiqh Haasil Karna Shuru kiya, Toh Usme Unhone Jo Kaarnaame Sar-anjaam diya, wo Tum Dekh rahe ho.
(Manaaqib e Abi Hanifa As-haabi Liz Zehbi : Safa 43)
Scan Page :
manaqib abu hanifa by imam zahabi_Page43
77 – Imam Auzaayi Rh. Al Mutawaffa 157 Hij. wo pechida aur mushkil masaail ko sab logo se zyaada jaante hai.
(Manaaqib e Kurduri : Jild 1 : Safa 90, Tambeeh uz Sahifa : Safa 36)
Scan Page : Tambeeh uz Sahifa
تبييض الصحيفة في مناقب الإمام أبي حنيفة_Page36
78 – Imam Abdul Aziz bin Abi Rawwaad Rh. Al Mutawaffa 159 Hij. Farmaate hai ke
Jo Shaks Imam Abu hanifa Rh. se Muhabbat rakhe, wo Sunni hai. Aur Jo unse Bughaz Rakhe, wo Biddati hai.
Aur Ek riwayat me hai : Hamaare paas Logo ko Jaachne ke liye Imam Abu hanifa Rh. Meyaar hai.
Jo Unse Muhabbat aur Dosti rakhe, wo Ahle Sunnat me se hai aur Jo unse Bughz rakhe, Hume Maloom hojaata hai ke yeh biddati hai.
79 – Imam Dawud bin Naseer at-Taayi Rh. Al Mutawaffa 160 Hij. Farmaate hai ke
Aap Roshan Sitaare the, Jisse Raasta Chalne Waale Raat ki Taarikiyo me Raasta paatahai.aap ke paas wo Ilm tha, Jisko ahle imaan ke quloob qubool karte hai.
(Al Khariyatul hisaan : Safa 36)
Scan Page :
khairat al lisan_Page37 - Copy
80 – Imam Maalik bin Anas Rh. Al Mutawaffa 179 Hij. Farmaate hai ke Maine Imam Abu hanifa Rh. Jaisa Aadmi Nahi Dekha.
(Al Khariyatul Hisaan : Safa 32)
Scan Page :
khairat al lisan_Page33
81 – Imam Abdur Rehman bin Mehdi Rh. Al Mutawaffa 198 Hij. Farmaate hai ke Imam Abu hanifa Rh. Ulama ke Qaazi ul Quzaat [Chief Justice] hai.
(Manaaqib e Muwaffaq : Jild 2 : Safa 25)
82 – Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. Farmaate hai ke Ulama toh Sirf 4 Hai, Imam Sufiyan Sauri Rh., Imam Abu hanifa Rh., Imam Maalik rh. aur Imam Auzaayi Rh.
(Al Bidaaya Wan Nihaaya : Jild 13 : Safa 446)
Scan Page :
bn13_Page446
83 – Imam Ali Ibn Madeeni Rh. Al Mutawaffa 234 Hij. Farmaate hai ke wo (Imam Abu hanifa Rh.) Siqa the aur Unme KOI KHARAABHI NAHI HAI.
84 – Imam Yahiya Ibn e Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. se pucha gaya ke Kya Imam Abu hanifa Rh. Sach-che the ? Toh Unhone Farmaaya ke Ha ! Sach-che the.
(Jaame Bayaan ul Ilmi : Jild 2 : Safa 1082)
Scan Page :
7513_Page1083
85 – Imam Yahiya bin Maeen Rh. se Imam Ahmed bin Muhammed al Baghdadi Rh. ne Imam Abu hanifa Rh. ke bare me Sawaal kiya :
Toh Unhone Farmaaya : Ha ! wo Aadil aur SIQA the, Jinki Ta’adeel Imam Abdullah Ibn ul Mubarak Rh. aur Wakii Ibn ul Jaraah Rh. kare, Tum Unke bare me kya Khiyaal Karte ho ?
(Manaaqib e Kurduri : Jild 1 : Safa 91)
86 – Imam Ibn Maeen Rh. Al Mutawaffa 233 Hij. se Imam Abu hanifa Rh. ke bare me Sawaal kiya gaya, kya wo SIQA the ?
Toh Imam Ibn Maeen Rh. ne Jawaab diya : Ha ! [Imam Abu Hanifa Rh.] Siqa the, Siqa The.
Khuda ki Qasam Unki Shaan usse Bahut Buland wa Baala thi, ke wo Jhoot bolte.
(Manaaqib e Muwaffaq : Jild 1 : Safa 192, Manaaqib e Kurduri : Jild 1 : Safa 220)
87 – Imam Ibn Maeen Rh. se yeh bhi Marwi hai ke Aap Rh. Farmaate hai ke
Imam Abu hanifa Rh. Siqa the, wo Sirf Wahi hadees Bayaan karte the, Jo Unko Achi Yaad hoti thi aur Jo Hadees unko Yaad na hoti thi, toh wo Usko bayaan Nahi Karte the.
(Taarekh e Baghdad : Jild 13 : Safa 422)
Scan Page :
13_77933_Page422
88 – Imam Ibn Maeen Rh. se Yeh bhi riwayat hai ke wo Farmaate hai ke Imam Abu hanifa Rh. Hadees me Siqa the. (Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 10 : Safa 450)
Scan Page :
10_1519_Page450
89 – Imam Yahiya bin Maeen Rh. Farmaate hai ke Imam Abu hanifa Rh. Fiqh aur Hades me Siqa wa sadooq aur Allah tala ke Deen me Qaabil e Aitemaad aur Mamoon hai.
(Al Khairaatul Hisaan : Safa 35)
Scan Page :
khairat al lisan_Page36
90 – Imam Ibn Abdul Barr Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Farmaate hai ke Ulama ki Ek BADI Jamaat ne Unki Ta’arif ki aur Unko Saaheb e Fazilat Tasleem kiya hai. (Jaame Bayaan ul Ilmi wa Fazlihi)
91 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. ne Unko Imam al Azam, Faqi e Iraaq Qaraar diya hai. (Tazkiratul Huffaaz : Jild 1 : Safa 126)
Scan Page :
01_72574_Page126
92 – Imam Khateeb al Baghdadi Rh. Al Mutawaffa 463 Hij. Bawajood Muta’assib hone ke, Imam Abu hanifa Rh. ko Imam e Ashaab ur Raiye aur Faqi e Iraaq Qaraar diya hai.
(Taarekh e Baghdad , Bahawala Tehzeeb ul Lughaat : Jild 1 : Safa 216)
Scan Page :
tal2_Page216
93 – Imam Ibn Kaseer Rh. Al Mutawaffa 774 Hij. ne Aap ki Ta’arif in Alfaaz me Bayaan ki hai :
[Aap Rh.] Imam, Faqi e Iraaq, Aimma e Islaam, Ulama ke Arkaan aur Aimma e Arba me se hai aur Logo ke Sardar aur [Allah ke yaha] Maqbool Maslak ko Mudawwan karne waale hai.
(Al Bidaaya wan Nihaaya : Jild 13 : Safa 415-416)
Scan Page :
bn13_Page416
94 – Imam Ijli Rh. Al Mutawaffa 261 Hij. ne Imam Abu hanifa Rh. ko Apni Kitaab, Taarekh us Siqaat me Shumaar karke Siqa qaraar diya hai.
(Taarekh us Siqaat : Jild 1 : Safa 40)
Scan Page :
02_4167_Page314
95 – Imam Ibn Shaheen Rh. Al Mutawaffa 385 Hij. ne bhi Imam Abu hanifa Rh. ko Siqaat me Shumaar karke Siqa qaraar diya hai.
(Taarekh e Asma us Siqaat : Jild 1 : Safa 241)
Scan Page :
25736_Page241
96 – Imam Nawawi Rh. Al Mutawaffa 676 Hij. ne Imam Abu hanifa Rh. Ko Imam e Kaamil Qaraar diya hai. (Tehzeeb ul Lughaat : Jild 1 : Safa 216)
Scan Page :
tal2_Page216 - Copy
97 – Hazrat Masaavir ul Waraaq Rh. Al Mutawaffa [Taqreeban] 150 Hij. ne Imam Abu hanifa Rh. ko Imam ul Muslimeen Qaraar diya hai.
(Manaazil e Aimmatul Arba : Jild 1 : Safa 175)
98 – Imam Zehbi Rh. Al Mutawaffa 748 Hij. Aap Rh. ki Ta’arif Yu Karte hai ke Imam, Faqi e Millat, Aalim ul Iraaq Qaraar diya hai. (Seer Alamun Nubula : Jild 6 : Safa 390)
Scan Page :
san06_Page390
Ek aur Maqaam par Farmaate hai ke ‘Imam, Faqi e Iraaq’ Qaraar diya hai.
(Al Kaashif : Raqm no 5845)
Scan Page :
kashif2_Page322
Imam Abu hanifa Rh. ko Imam Zehbi Rh. Tabqaatul Muhaddiseem me Shumaar karke Muhaddis Qaraar diya hai aur
(Al Maeen Fii Tabqaat ul Muhaddiseen : Raqm no 546)
Scan Page :
15390_Page57
Imam Abu hanifa Rh. aur Unke Ashaab ke Manaaqib par Imam Zehbi Rh. ne ek Puri Kitaab tak Likh Daali, Jiska Naam ‘Manaaqib Al Imam Abu hanifa Rh. wa Ashaabi’ Hai.
99 – Imam Abubakr bin Ayaash Rh. Al Mutawaffa 194 Hij. Farmaate hai ke Sufiyan Sauri Rh. ke bhai Umar bin Saeed Rh. ka Inteqaal hogaya…..Majlis Logo se par Bhari thi, Abdullah bin Idrees Rh. Al Mutawaffa 192 Hij. bhi [Majlis me] Shareek the.
Thodi Dair me Imam Abu hanifa Rh. bhi Tashreef Laaye, Toh Imam Sufiyan sauri Rh. Khade Hogaye, Musaafa Karke Apni Jageh bithaaya aur Khud Unke Saamne Bait Gaye,
Imam Abubakr bin Ayaash Rh. Farmaate hai ke Mujhe yeh Baat badi Bhaari Lagi aur Unhone Imam Sufiyan Sauri Rh. se Kaha ke :
Aap ka Imam Abu hanifa rh. ko Dekh-kar Khade hojaana aur Unhe Apni Jagah Bithaana aur Badi Waqa’at Karna Acha Nahi Laga.
Toh Imam Sufiyan sauri Rh. Farmaate hai ke
wo Ek Aalim Aadmi hai, Mai Unke Ilm ki Wajeh se Unki Takreem na Karta, Toh Unki Badi umar ki Wajeh se [Takreem] Karta, Agar Is Wajeh se bhi Nahi Karta, Toh Unki Fiqaahat ki Wajeh karta, Agar Is Wajeh se bhi na Khada hota, Toh Unki paresgaari ki binaa par Unki Izzat Karta.
Imam Abubakr bin Ayaash Rh. Al Mutawaffa 194 Hij. Farmaate hai ke Imam Sufiyan sauri Rh. ke Is Jawaab ka Mere paas Koi Jawaab na tha, Mai Khamosh raha.
(Taarekh e Baghadad : Jild 13 : Safa 341)
Scan Page :
13_77933_Page341
Ab Aakhir me Hafiz ud Dunya, Ameer ul Momineen Fil Hadees Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ke Alfaaz par Ikhtetaam Karta hu :
100 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Al Mutawaffa 852 Hij. Farmaate hai ke Imam Abu Hanifa Rh. Ke Manaaqib Bahut Zyaada Hai, Allah Se Unse Raazi Ho Aur Jannat Ul Firdous Me Jagah Aata Farmaaye….Ameen.
(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 10 : Safa 452)
Scan Page :
10_1519_Page452